Shyaam Tuje Milaneka
Lyrics
Shyaam tuje milaneka satsang hi bahaana he
Duniya waale kya jaane mera dilto deewaana he - Shyaam
Tu hi mera maata pita tuhi mera bandhu sakha
Jag waale kya jaane tera mera rishta puraana he - Shyaam
Tu hi meri bhakti ho tu hi meri shakti ho
Bada hi manohar mera shyaam salona he - Shyaam
Mathura me dhundha tuje Gokul me paaya tuje
Bhakto ke hrudya me mere shyaam ka basera he - Shyaam
Nandagaav me dhundha tuje Barasaana me paaya tuje
Raadhaji ke hrudya me mere shyaam ka basera he - Shyaam
Mahelo me dhundha tuje mandir me paaya tuje
Vrindaavan ki galio me mere shyaam ka basera he - Shyaam
Ganga me dhundha tuje Yamuna me paaya tuje
Saagar ki lahero me mere shyaam ka basera he - Shyaam
Kaliyo me dhundha tuje folo me paaya tuje
Fulo ki bagiya me mere shyaam ka basera he - Shyaam
Chanda me dhundha tuje suraj me paaya tuje
Taaro ki tim-tim me mere shyaam ka basera he - Shyaam