← All kirtans

O Kaanha Ab To Murli Ki

More Kirtans

Lyrics

O Kaanha ab to murli ki, madhur suna do taan

O Kaanha ab to murli ki, madhur suna do taan

Main hu teri, prem deewani, mujhko tum pehchaan

madhur suna do taan,

O kaanha ab to murli ki, madhur suna do taan

Jabse tum sang maine apne, naina jod liye hai

Kya maiya kya baabul sabse, rishte thod liye hai

Tere milan ko, vyakul hai ye, kabse mere praan

madhur suna do taan

O kaanha, ab to murli ki, madhur suna do taan

Saagar se bhi gehari mere, prem ki geheraai

lok laaj Kul ki mariyada, saj kar main toh aayee

Meri preeti se, o nirmohi, ab na bano anjaan

madhur suna do taan

O kaanha ab to murli ki, madhur suna do taan

Main hu teri, prem deewani, mujhko tum pehchaan

madhur suna do taan, madhur suna do taan

madhur suna do taan

Take it with you

Keep this kirtan for offline listening in the mobile app.